Ankho ki palke nam ho jati hay,
bari si dagar suni si lagne lagti hay,
sagar ki lahere kam par jati hay,
ya allah, sirf teri yaad ati hay.
Ma ki kokh me bari shanti milti hay,
baba ki peyar sab taklif duur kar deti hay,
behen ki sangat sab gam bhulati hay,
ya allah, teri bahath yaad ati hay.
Dosto ne to zindegi saja diya hay,
dosti ne har mushkil asaan kar diya hay,
ya allah tune har mannat puri ki hay,
mere mawla, teri bahath yaad ati hay.
-Debapriya Mukhopadhyay